dard ka aur mere dil mein siwa ho jaana
dard kā aur mere dil meñ sivā ho jaanā
us kā siine se mire lag ke judā ho jaanā
ishrat-o-nāz kī kasrat meñ fanā ho jaanā
dard kā had se guzarnā hai davā ho jaanā
mere jiine se agar koī ḳhafā hotā hai
mujh ko lāzim hai mohabbat meñ fanā ho jaanā
ye bhī mumkin hai maiñ jiine se ḳhafā ho jā.ūñ
hai burī baat tirā mujh se ḳhafā ho jaanā
merī taqdīr meñ likkhā thā yahī ai 'iqbāl'
apnī nākām mohabbat meñ fanā ho jaanā
dard ka aur mere dil mein siwa ho jaana
us ka sine se mere lag ke juda ho jaana
ishrat-o-naz ki kasrat mein fana ho jaana
dard ka had se guzarna hai dawa ho jaana
mere jine se agar koi KHafa hota hai
mujh ko lazim hai mohabbat mein fana ho jaana
ye bhi mumkin hai main jine se KHafa ho jaun
hai buri baat tera mujh se KHafa ho jaana
meri taqdir mein likkha tha yahi ai 'iqbaal'
apni nakaam mohabbat mein fana ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.