dard ka haal aah se puchho
dard kā haal aah se pūchho
dil kī bāteñ nigāh se pūchho
azmat-e-rahmat-e-ḳhudāvandī
ārzū-e-gunāh se pūchho
un kī paiham navāzishoñ kā asar
mere hāl-e-tabāh se pūchho
dil-e-ḳhuddār kī zabūñ-hālī
hosh izz o jaah se pūchho
pastī-e-har-bulandi-e-duniyā
muntahā-e-nigāh se pūchho
'arsh par kyuuñ dimāġh 'arsh' uḌā
muft kī vaah vaah se pūchho
dard ka haal aah se puchho
dil ki baaten nigah se puchho
azmat-e-rahmat-e-KHudawandi
aarzu-e-gunah se puchho
un ki paiham nawazishon ka asar
mere haal-e-tabah se puchho
dil-e-KHuddar ki zabun-haali
hosh izz o jah se puchho
pasti-e-har-bulandi-e-duniya
muntaha-e-nigah se puchho
'arsh par kyun dimagh 'arsh' uDa
muft ki wah wah se puchho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.