Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard ka jab tak maza hasil na tha

Iram Lakhnavi

dard ka jab tak maza hasil na tha

Iram Lakhnavi

MORE BYIram Lakhnavi

    dard jab tak mazā hāsil na thā

    dil kahe jaane ke qābil dil na thā

    haa.e un majbūriyoñ ko kyā karūñ

    maiñ bhī ḳhud fariyād ke qābil na thā

    bhiik rakh lo jo duā.eñ de gayā

    vo faqīr-e-ishq thā saa.il na thā

    o luTāne vaale gul-hā-e-karam

    sab dil thā kyā hamārā dil na thā

    jaañ burī mushkil bhī ham ko ai 'iram'

    vo bachā lete to kuchh mushkil na thā

    dard ka jab tak maza hasil na tha

    dil kahe jaane ke qabil dil na tha

    hae un majburiyon ko kya karun

    main bhi KHud fariyaad ke qabil na tha

    bhik rakh lo jo duaen de gaya

    wo faqir-e-ishq tha sail na tha

    o luTane wale gul-ha-e-karam

    sab ka dil tha kya hamara dil na tha

    jaan buri mushkil bhi hum ko ai 'iram'

    wo bacha lete to kuchh mushkil na tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now