dard ka kohsar khinchta hun
dard kā kohsār khīñchtā huuñ
saañs kab hai ġhubār khīñchtā huuñ
ishq hai hī nahīñ ye tohmat hai
dil nahīñ hai maiñ baar khīñchtā huuñ
nabz hai Dūbne bhī lagtī hai
saañs hai zor-dār khīñchtā huuñ
khīñchtā huuñ use maiñ apnī taraf
aur be-iḳhtiyār khīñchtā huuñ
to koī sārbān kartā hai
maiñ ḳhud apnī mahār khīñchtā huuñ
sher kahtā huuñ maiñ alag Dhab se
qāfiya jān-dār khīñchtā huuñ
camere mutma.in nahīñ karte
aks haiñ baar baar khīñchtā huuñ
dard ka kohsar khinchta hun
sans kab hai ghubar khinchta hun
ishq hai hi nahin ye tohmat hai
dil nahin hai main bar khinchta hun
nabz hai Dubne bhi lagti hai
sans hai zor-dar khinchta hun
khinchta hun use main apni taraf
aur be-iKHtiyar khinchta hun
to koi sarban karta hai
main KHud apni mahaar khinchta hun
sher kahta hun main alag Dhab se
qafiya jaan-dar khinchta hun
camere mutmain nahin karte
aks hain bar bar khinchta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.