Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard ka koi ham-nawa bhi nahin

Hira Qasmi

dard ka koi ham-nawa bhi nahin

Hira Qasmi

dard koī ham-navā bhī nahīñ

ḳhvāb kyā ab to rat-jagā bhī nahīñ

chāñd taare haiñ dastaras meñ tirī

merī qismat meñ ik diyā bhī nahīñ

jis chāhat meñ ġharq huuñ logo

be-ḳhabar vo ye jāntā bhī nahīñ

jān-e-jāñ dekh tere jaane se

rang be-rang haiñ ziyā bhī nahīñ

maiñ vo hirmāñ-nasīb huuñ jis ke

haath ḳhālī haiñ aur duā bhī nahīñ

dard ka koi ham-nawa bhi nahin

KHwab kya ab to rat-jaga bhi nahin

chand tare hain dastaras mein teri

meri qismat mein ek diya bhi nahin

jis ki chahat mein gharq hun logo

be-KHabar wo ye jaanta bhi nahin

jaan-e-jaan dekh tere jaane se

rang be-rang hain ziya bhi nahin

main wo hirman-nasib hun jis ke

hath KHali hain aur dua bhi nahin

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now