dard kaisa bhi ho kya hota hai
dard kaisā bhī ho kyā hotā hai
dil to ye mar ke bhī ab zinda hai
hai agar dhuup to ab dhuup sahī
sar pe mere koī to saaya hai
kis ne phir qatl kiyā sūraj ko
hai fazā nam to ye din kaalā hai
ḳhud se milne ko bhī to vaqt nahīñ
kaun ā.īnoñ se ab miltā hai
noch lī us ne phir āñkheñ apnī
ziist par us ne likhā sahrā hai
dard kaisa bhi ho kya hota hai
dil to ye mar ke bhi ab zinda hai
hai agar dhup to ab dhup sahi
sar pe mere koi to saya hai
kis ne phir qatl kiya suraj ko
hai faza nam to ye din kala hai
KHud se milne ko bhi to waqt nahin
kaun aainon se ab milta hai
noch li us ne phir aankhen apni
zist par us ne likha sahra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.