dard ke bij bo liye ranj-o-alam uga liye
dard ke biij bo liye ranj-o-alam ugā liye
'ishq meñ dil kī maan kar ham ne ye gul khilā liye
tiilī dikhā to dī magar jaldī se phir bujhā ke aag
us ne mire tamām ḳhat jhaaḌ ke dhuul uThā liye
qillat-e-ashk ab kabhī hogī na 'umr bhar hameñ
ham ne ḳhushī ke shauq meñ itne to ġham kamā liye
tanhā raheñge kis tarah haa.e ye ham ne kyā kahā
apnoñ ko bhī parakh liyā ġhair bhī aazmā liye
dard ke bij bo liye ranj-o-alam uga liye
'ishq mein dil ki man kar hum ne ye gul khila liye
tili dikha to di magar jaldi se phir bujha ke aag
us ne mere tamam KHat jhaD ke dhul uTha liye
qillat-e-ashk ab kabhi hogi na 'umr bhar hamein
hum ne KHushi ke shauq mein itne to gham kama liye
tanha rahenge kis tarah hae ye hum ne kya kaha
apnon ko bhi parakh liya ghair bhi aazma liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.