dard ke inqalab se haara
dard ke inqalāb se haarā
ek patthar gulāb se haarā
sab savāloñ ne ḳhud-kushī kar lī
jab maiñ us ke javāb se haarā
kyā mirā dard bāñch letā jo
aa.ina ik naqāb se haarā
us ko bhī jiit kā gumān rahe
maiñ bhī kuchh is hisāb se haarā
āḳhirī saañs le rahī thī raat
jab charāġh āftāb se haarā
dard ke inqalab se haara
ek patthar gulab se haara
sab sawalon ne KHud-kushi kar li
jab main us ke jawab se haara
kya mera dard banch leta jo
aaina ek naqab se haara
us ko bhi jit ka guman rahe
main bhi kuchh is hisab se haara
aaKHiri sans le rahi thi raat
jab charagh aaftab se haara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.