dard ke khet mein muskan ugane wala
dard ke khet meñ muskān ugāne vaalā
kitnā ḳhush-zarf hai zaḳhmoñ ko chhupāne vaalā
dil meñ iḳhlās vafāoñ kī hai gaThrī sar par
aadmī hai ye kisī aur zamāne vaalā
yaad aatā rahā tā-der safar meñ mujh ko
haath rah rah ke darīche se hilāne vaalā
aag kuchh aur gharoñ ko bhī jalā Dālegī
sochtā kaash mire ghar ko jalāne vaalā
log chehroñ ko chhupāte hue phirte haiñ 'nadīm'
shahr meñ aayā hai ā.īna dikhāne vaalā
dard ke khet mein muskan ugane wala
kitna KHush-zarf hai zaKHmon ko chhupane wala
dil mein iKHlas wafaon ki hai gaThri sar par
aadmi hai ye kisi aur zamane wala
yaad aata raha ta-der safar mein mujh ko
hath rah rah ke dariche se hilane wala
aag kuchh aur gharon ko bhi jala Dalegi
sochta kash mere ghar ko jalane wala
log chehron ko chhupate hue phirte hain 'nadim'
shahr mein aaya hai aaina dikhane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.