dard ke sanche mein Dhal kar rah gai
dard ke sāñche meñ Dhal kar rah ga.ī
zindagī karvaT badal kar rah ga.ī
vaqt-e-nazzāra nigāh-e-bāryāb
un ke jalvoñ meñ machal kar rah ga.ī
aañkh meñ aañsū machal kar rah ga.e
mauj dariyā meñ uchhal kar rah ga.ī
kyā kiyā ai bulbul-e-ātish-navā
āshiyāñ meñ barq jal kar rah ga.ī
un kā ġham mujh ko vadī.at ho gayā
saarī duniyā haath mal kar rah ga.ī
dard ke sanche mein Dhal kar rah gai
zindagi karwaT badal kar rah gai
waqt-e-nazzara nigah-e-baryab
un ke jalwon mein machal kar rah gai
aankh mein aansu machal kar rah gae
mauj dariya mein uchhal kar rah gai
kya kiya ai bulbul-e-atish-nawa
aashiyan mein barq jal kar rah gai
un ka gham mujh ko wadiat ho gaya
sari duniya hath mal kar rah gai
- Book : Taqdeer-e-hina (Pg. 59)
- Author : Arshi Bhopali
- Publication : Hind Offset Printers, Bhopal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.