dard ki aanch mein jalta hai ye ghar kya kije
dard kī aañch meñ jaltā hai ye ghar kyā kiije
ḳhvāb hotī hai tamanna kī sahar kyā kiije
ham bhī mānūs nahīñ dil ke añdheroñ se abhī
tā.er-e-shab bhī hai khole hue par kyā kiije
duur manzil hai kaḌī dhuup meñ karnā hai safar
kaT ga.e raah meñ jitne the shajar kyā kiije
vo ga.e vaqt kī mānind na lauTegā kabhī
ab luTā kar ye vafāoñ ke guhar kyā kiije
be-gavāhī ke bhañvar meñ hai mirī zaat ki ab
aañkh kī jhiil bhī hotī nahīñ tar kyā kiije
bārish-e-sang to be-vaj.h nahīñ hai 'ābid'
aa gayā mujh ko vafāoñ kā hunar kyā kiije
dard ki aanch mein jalta hai ye ghar kya kije
KHwab hoti hai tamanna ki sahar kya kije
hum bhi manus nahin dil ke andheron se abhi
taer-e-shab bhi hai khole hue par kya kije
dur manzil hai kaDi dhup mein karna hai safar
kaT gae rah mein jitne the shajar kya kije
wo gae waqt ki manind na lauTega kabhi
ab luTa kar ye wafaon ke guhar kya kije
be-gawahi ke bhanwar mein hai meri zat ki ab
aankh ki jhil bhi hoti nahin tar kya kije
barish-e-sang to be-wajh nahin hai 'abid'
aa gaya mujh ko wafaon ka hunar kya kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.