dard ki dhup-bhare dil ki tamazat le kar
dard kī dhūp-bhare dil kī tamāzat le kar
kaise jaa.e koī ehsās kī hijrat le kar
phir kahāñ jā.iye ab baiThiye mātam kiije
dil ke hāthoñ meñ ye anmol sharāfat le kar
kyā kaheñ ab to nikalnā bhī bahut mushkil hai
apne kāñdhe pe ḳhud apnī hī zamānat le kar
peT kī bhuuk tamāshe pe tamāsha kar le
ham thakeñge nahīñ is bhuuk kī aadat le kar
apne bistar pe kisī raat hameñ niiñd aatī
aur phir ḳhvāb nahīñ aate zarūrat le kar
dekhiye sochiye mahsūs to hone diije
dard kī dhuup meñ ehsās kī lazzat le kar
dard ki dhup-bhare dil ki tamazat le kar
kaise jae koi ehsas ki hijrat le kar
phir kahan jaiye ab baiThiye matam kije
dil ke hathon mein ye anmol sharafat le kar
kya kahen ab to nikalna bhi bahut mushkil hai
apne kandhe pe KHud apni hi zamanat le kar
peT ki bhuk tamashe pe tamasha kar le
hum thakenge nahin is bhuk ki aadat le kar
apne bistar pe kisi raat hamein nind aati
aur phir KHwab nahin aate zarurat le kar
dekhiye sochiye mahsus to hone dije
dard ki dhup mein ehsas ki lazzat le kar
- Book : Ehsas ki Hijrat (Gazal Collection) (Pg. 37)
- Author : Zafar Imam
- Publication : Asri Sang-e-meel Publications, Patna (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.