dard ki intiha nahin malum
dard kī intihā nahīñ ma.alūm
hashr kyūñkar uThā nahīñ ma.alūm
kaun hai āshnā nahīñ ma.alūm
kaun degā daġhā nahīñ ma.alūm
vo to ruḳhsat hue gale mil kar
kab Talegī balā nahīñ ma.alūm
ai masīhā mirā ilaaj na kar
tujh ko merī davā nahīñ ma.alūm
dostoñ kā ḳhulūs yaad rahā
dushmanoñ kī adā nahīñ ma.alūm
phuul murjhā ga.e gulistāñ ke
kaisā jhoñkā chalā nahīñ ma.alūm
kis ko maiñ bā-vafā kahūñ 'maikash'
kaun hai bā-vafā nahīñ ma.alūm
dard ki intiha nahin malum
hashr kyunkar uTha nahin malum
kaun hai aashna nahin malum
kaun dega dagha nahin malum
wo to ruKHsat hue gale mil kar
kab Talegi bala nahin malum
ai masiha mera ilaj na kar
tujh ko meri dawa nahin malum
doston ka KHulus yaad raha
dushmanon ki ada nahin malum
phul murjha gae gulistan ke
kaisa jhonka chala nahin malum
kis ko main ba-wafa kahun 'maikash'
kaun hai ba-wafa nahin malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.