dard ki jab intiha ho jaegi
dard kī jab intihā ho jā.egī
intihā ḳhud hī davā ho jā.egī
rābta rakhiye ġhamoñ se ḳhud-ba-ḳhud
zindagī ġham-āshnā ho jā.egī
kar na ai dil shikva-e-jaur-o-jafā
varna tauhīn-e-vafā ho jā.egī
bas unheñ aane to do phir dekhnā
dil kī duniyā kyā se kyā ho jā.egī
chhoḌ doge saath agar tum bhī mirā
zindagī be-āsrā ho jā.egī
kyā ḳhabar thī surḳhī-e-ḳhūn-e-jigar
sūrat-e-rang-e-hinā ho jā.egī
hausla rakhiye kabhī āsān bhī
manzil-e-rāh-e-vafā ho jā.egī
naaz hastī par 'nasīr' itnā na kar
ik na ik din ye fanā ho jā.egī
dard ki jab intiha ho jaegi
intiha KHud hi dawa ho jaegi
rabta rakhiye ghamon se KHud-ba-KHud
zindagi gham-ashna ho jaegi
kar na ai dil shikwa-e-jaur-o-jafa
warna tauhin-e-wafa ho jaegi
bas unhen aane to do phir dekhna
dil ki duniya kya se kya ho jaegi
chhoD doge sath agar tum bhi mera
zindagi be-asra ho jaegi
kya KHabar thi surKHi-e-KHun-e-jigar
surat-e-rang-e-hina ho jaegi
hausla rakhiye kabhi aasan bhi
manzil-e-rah-e-wafa ho jaegi
naz hasti par 'nasir' itna na kar
ek na ek din ye fana ho jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.