dard ki jo koi dawa jaane
dard kī jo koī davā jaane
vahī kuchh ishq kā maza jaane
koī dil kī kisī ke kyā jaane
ġhaib kī baat ko ḳhudā jaane
ham to daanā usī ko kahte haiñ
jo hasīnoñ ko bevafā jaane
dil-e-gum-gashta kā jo pūchhā haal
bole muñh pher kar ḳhudā jaane
mai-kade meñ paḌe the kal zāhid
kaun aaj un ko pārsā jaane
husn-e-zan bas isī ko kahte haiñ
ki har ik chiiz ko bhalā jaane
āshiqī ke liye hai shart 'ḳhayāl'
ki jafāoñ ko bhī vafā jaane
dard ki jo koi dawa jaane
wahi kuchh ishq ka maza jaane
koi dil ki kisi ke kya jaane
ghaib ki baat ko KHuda jaane
hum to dana usi ko kahte hain
jo hasinon ko bewafa jaane
dil-e-gum-gashta ka jo puchha haal
bole munh pher kar KHuda jaane
mai-kade mein paDe the kal zahid
kaun aaj un ko parsa jaane
husn-e-zan bas isi ko kahte hain
ki har ek chiz ko bhala jaane
aashiqi ke liye hai shart 'KHayal'
ki jafaon ko bhi wafa jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.