Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard ki jot mere dil mein jagane wale

Asra Rizvi

dard ki jot mere dil mein jagane wale

Asra Rizvi

MORE BYAsra Rizvi

    dard jot mire dil meñ jagāne vaale

    roz paiġhām nayā de ke rulāne vaale

    kaise likh duuñ maiñ tire naam fasāna koī

    biich mañjdhār meñ kushtī ko Dubāne vaale

    na koī 'aks na zañgār rahā mere liye

    ruuh ke shīshe ko shaffāf banāne vaale

    kyā nahīñ likkhā nigāhoñ ko rahīn-e-jalva

    apnī tahrīr se taqdīr sajāne vaale

    misl-e-parvāna taḌapne ke liye chhoḌ diyā

    sham-e-gumnām se jazboñ ko jalāne vaale

    kisī tā'bīr ko takmīl to jaane de

    ḳhvāb har roz nayā mujh ko dikhāne vaale

    azm-e-mohkam liye maiñ pesh nazar aa.ī huuñ

    tiir alfāz be-ḳhauf chalāne vaale

    vaqt ab bhī hai sañbhal jaao ye duniyā hai fareb

    pyaar ke Dhoñg meñ logoñ ko phañsāne vaale

    vaqt ab duur nahīñ hai ki uThe shor-e-ġhazab

    ġham ke sailāb meñ duniyā ko bahāne vaale

    dard ki jot mere dil mein jagane wale

    roz paigham naya de ke rulane wale

    kaise likh dun main tere nam fasana koi

    bich manjdhaar mein kushti ko Dubane wale

    na koi 'aks na zangar raha mere liye

    ruh ke shishe ko shaffaf banane wale

    kya nahin likkha nigahon ko rahin-e-jalwa

    apni tahrir se taqdir sajaane wale

    misl-e-parwana taDapne ke liye chhoD diya

    sham-e-gumnam se jazbon ko jalane wale

    kisi ta'bir ko takmil to pa jaane de

    KHwab har roz naya mujh ko dikhane wale

    azm-e-mohkam liye main pesh nazar aai hun

    tir alfaz ka be-KHauf chalane wale

    waqt ab bhi hai sanbhal jao ye duniya hai fareb

    pyar ke Dhong mein logon ko phansane wale

    waqt ab dur nahin hai ki uThe shor-e-ghazab

    gham ke sailab mein duniya ko bahane wale

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now