dard ki lahar thi guzar bhi gai
dard kī lahar thī guzar bhī ga.ī
us ke hamrāh chashm-e-tar bhī ga.ī
ik ta.alluq sā thā so ḳhatm huā
baat thī zehn se utar bhī ga.ī
ham abhī soch hī meñ baiThe haiñ
aur vo aañkh kaam kar bhī ga.ī
hijr se kam na thī visāl kī rut
aa.ī bechain sī guzar bhī ga.ī
zabt kā hausla bahut thā magar
us ne pūchhā to aañkh bhar bhī ga.ī
dard ki lahar thi guzar bhi gai
us ke hamrah chashm-e-tar bhi gai
ek talluq sa tha so KHatm hua
baat thi zehn se utar bhi gai
hum abhi soch hi mein baiThe hain
aur wo aankh kaam kar bhi gai
hijr se kam na thi visal ki rut
aai bechain si guzar bhi gai
zabt ka hausla bahut tha magar
us ne puchha to aankh bhar bhi gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.