dard ki lahar yaqinan mere ghar jaegi
dard kī lahar yaqīnan mire ghar jā.egī
maiñ na hūñgā to ḳhudā jaane kidhar jā.egī
mauja-e-ḳhūñ se guzarnā hai guzar jā.egī
chār-din ba.ad ye naddī bhī utar jā.egī
kaun kar saktā hai afkār-o-nazar ko mahsūr
kaam ḳhushbū kā bikharnā hai bikhar jā.egī
manzil-e-zīst tujhe maiñ na karūñgā māyūs
maiñ na pahuñchā to mirī gard-e-safar jā.egī
maiñ añdheroñ ke tasalsul se nahīñ huuñ ḳhā.if
raushnī aaj nahīñ kal mire ghar jā.egī
maiñ to mar saktā huuñ hālāt ke sannāToñ meñ
dosto kyā mirī āvāz bhī mar jā.egī
dard ki lahar yaqinan mere ghar jaegi
main na hunga to KHuda jaane kidhar jaegi
mauja-e-KHun se guzarna hai guzar jaegi
chaar-din baad ye naddi bhi utar jaegi
kaun kar sakta hai afkar-o-nazar ko mahsur
kaam KHushbu ka bikharna hai bikhar jaegi
manzil-e-zist tujhe main na karunga mayus
main na pahuncha to meri gard-e-safar jaegi
main andheron ke tasalsul se nahin hun KHaif
raushni aaj nahin kal mere ghar jaegi
main to mar sakta hun haalat ke sannaTon mein
dosto kya meri aawaz bhi mar jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.