dard ki nili ragen tah se ubhar aati hain
dard kī niilī rageñ tah se ubhar aatī haiñ
yaad ke zaḳhm meñ chingāriyāñ dar aatī haiñ
roz parchhā.iyāñ yādoñ kī parinde ban kar
ghar ke pichhvāḌe ke pīpal pe utar aatī haiñ
sūrateñ bantī haiñ chāhat kī ye kis miTTī se
bārhā miT ke bhī ye bār-e-digar aatī haiñ
uude uude se safūre kī ghanī Tahniyoñ se
yaad kī surma.ī kirneñ sī guzar aatī haiñ
roz khiḌkī se qarīb aam ke us peḌ ke paas
tūtiyāñ choñch meñ le le ke sahar aatī haiñ
ik virāsat kī tarah gaañv kī guḌ sī bāteñ
gaThḌiyāñ bāñdh ke is dil ke nagar aatī haiñ
jitnā bhī chāhūñ dar-e-yār se bach kar niklūñ
tohmateñ itnī ziyāda mire sar aatī haiñ
itnī sī baat pe achchhī nahīñ shorīda-sarī
shaam ko chiḌiyāñ to sab apne hī ghar aatī haiñ
sharm se uljhe dupaTTe kī jo kholūñ girheñ
dil kī 'naināñ' rageñ sab khultī nazar aatī haiñ
dard ki nili ragen tah se ubhar aati hain
yaad ke zaKHm mein chingariyan dar aati hain
roz parchhaiyan yaadon ki parinde ban kar
ghar ke pichhwaDe ke pipal pe utar aati hain
suraten banti hain chahat ki ye kis miTTi se
barha miT ke bhi ye bar-e-digar aati hain
ude ude se safure ki ghani Tahniyon se
yaad ki surmai kirnen si guzar aati hain
roz khiDki se qarib aam ke us peD ke pas
tutiyan chonch mein le le ke sahar aati hain
ek wirasat ki tarah ganw ki guD si baaten
gaThDiyan bandh ke is dil ke nagar aati hain
jitna bhi chahun dar-e-yar se bach kar niklun
tohmaten itni ziyaada mere sar aati hain
itni si baat pe achchhi nahin shorida-sari
sham ko chiDiyan to sab apne hi ghar aati hain
sharm se uljhe dupaTTe ki jo kholun girhen
dil ki 'nainan' ragen sab khulti nazar aati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.