dard ki raat guzarti hai magar aahista
dard kī raat guzartī hai magar āhista
vasl kī dhuup nikhartī hai magar āhista
āsmāñ duur nahīñ abr zarā nīche hai
raushnī yuuñ bhī bikhartī hai magar āhista
tum ne māñgī hai duā Thiik hai ḳhāmosh raho
baat patthar meñ utartī hai magar āhista
terī zulfoñ se use kaise judā kartā maiñ
zindagī yuuñ bhī sañvartī hai magar āhista
dard ki raat guzarti hai magar aahista
wasl ki dhup nikharti hai magar aahista
aasman dur nahin abr zara niche hai
raushni yun bhi bikharti hai magar aahista
tum ne mangi hai dua Thik hai KHamosh raho
baat patthar mein utarti hai magar aahista
teri zulfon se use kaise juda karta main
zindagi yun bhi sanwarti hai magar aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.