dard ki raat ne ye rang bhi dikhlae hain
dard kī raat ne ye rañg bhī dikhlā.e haiñ
merī palkoñ pe sitāre se utar aa.e haiñ
dil ke vīrāne meñ kis yaad kā jhoñkā guzrā
kis ne is ret meñ ye phuul se mahkā.e haiñ
ham ne sochā tirī āñkheñ to uTheñ lab to hileñ
is liye ham tirī mahfil se chale aa.e haiñ
jin se insān ke zaḳhmoñ kā mudāvā na huā
aaj vo chāñd sitāroñ kī ḳhabar laa.e haiñ
chand sikkoñ kī talab hasrat-e-bejā to na thī
phir bhī ham phaile hue haath se ghabrā.e haiñ
dard ki raat ne ye rang bhi dikhlae hain
meri palkon pe sitare se utar aae hain
dil ke virane mein kis yaad ka jhonka guzra
kis ne is ret mein ye phul se mahkae hain
hum ne socha teri aankhen to uThen lab to hilen
is liye hum teri mahfil se chale aae hain
jin se insan ke zaKHmon ka mudawa na hua
aaj wo chand sitaron ki KHabar lae hain
chand sikkon ki talab hasrat-e-beja to na thi
phir bhi hum phaile hue hath se ghabrae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.