dard ko dard se nisbat hogi
dard ko dard se nisbat hogī
kyoñ socheñ ki mohabbat hogī
jaan kisī ko dī thī tum ne
ab jo jiye to nadāmat hogī
tum se mujhe kuchh kaam nahīñ hai
tum ko merī zarūrat hogī
aao ḳhudā kī bastī hai ye
kisī khañDar meñ ibādat hogī
kuTiyāoñ kā luTerā hogā
jis kī na.ī imārat hogī
baiThā huuñ phir diyā jalā.e
parvānoñ kī ziyāfat hogī
jism kisī kā garm nahīñ hai
'rāhī' tum ko harārat hogī
dard ko dard se nisbat hogi
kyon sochen ki mohabbat hogi
jaan kisi ko di thi tum ne
ab jo jiye to nadamat hogi
tum se mujhe kuchh kaam nahin hai
tum ko meri zarurat hogi
aao KHuda ki basti hai ye
kisi khanDar mein ibaadat hogi
kuTiyaon ka luTera hoga
jis ki nai imarat hogi
baiTha hun phir diya jalae
parwanon ki ziyafat hogi
jism kisi ka garm nahin hai
'rahi' tum ko hararat hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.