dard ko hum zindagi ka kaif-o-kam kahte rahe
dard ko ham zindagī kā kaif-o-kam kahte rahe
ḳhāmushī ke saaz par rūdād-e-ġham kahte rahe
gosh-bar-āvāz puurī bazm meñ koī na thā
dāstān-e-ārzū kahne ko ham kahte rahe
intihā-e-yās meñ chalte rahe be-mudda.ā
dekhne vaale hameñ sābit-qadam kahte rahe
dil fareb-e-zindagī meñ be-tarah uljhā rahā
ishq ko āzād patthar ko sanam kahte rahe
kam-savādoñ ko masīhā nā-ḳhudāoñ ko ḳhudā
buud ko nābūd hastī ko adam kahte rahe
apne ḳhuuñ se dāstān-e-ġham raqam karte rahe
lauh-e-dil ko nok-e-ḳhanjar ko qalam kahte rahe
aarzū ke kitne but-ḳhāne the is dil meñ nihāñ
'arsh' jis dil ko sabhī tāq-e-haram kahte rahe
dard ko hum zindagi ka kaif-o-kam kahte rahe
KHamushi ke saz par rudad-e-gham kahte rahe
gosh-bar-awaz puri bazm mein koi na tha
dastan-e-arzu kahne ko hum kahte rahe
intiha-e-yas mein chalte rahe be-muddaa
dekhne wale hamein sabit-qadam kahte rahe
dil fareb-e-zindagi mein be-tarah uljha raha
ishq ko aazad patthar ko sanam kahte rahe
kam-sawadon ko masiha na-KHudaon ko KHuda
bud ko nabud hasti ko adam kahte rahe
apne KHun se dastan-e-gham raqam karte rahe
lauh-e-dil ko nok-e-KHanjar ko qalam kahte rahe
aarzu ke kitne but-KHane the is dil mein nihan
'arsh' jis dil ko sabhi taq-e-haram kahte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.