dard le jata ziyan le jata
dard le jaatā ziyāñ le jaatā
kaun ye tohfa-e-jāñ le jaatā
maiñ ki larzāñ thā jhukī shāḳhoñ meñ
mujh ko jhoñkā bhī kahāñ le jaatā
mujh ko kyoñ Dhāñp diyā shāyad maiñ
jal na saktā to dhuāñ le jaatā
itnā arzāñ hai ye bāzār-e-vafā
maiñ kahāñ jins-e-girāñ le jaatā
terā kamra hai magar tū hī nahīñ
tū hī aatā ye samāñ le jaatā
tū mirā dost hai ai kaash ki tū
aah de jaatā fuġhāñ le jaatā
itnā pindār to hotā mujh meñ
tū makīñ thā maiñ makāñ le jaatā
maiñ to us kā hī thā iqbāl 'matīn'
us kā jī chāhe jahāñ le jaatā
dard le jata ziyan le jata
kaun ye tohfa-e-jaan le jata
main ki larzan tha jhuki shaKHon mein
mujh ko jhonka bhi kahan le jata
mujh ko kyon Dhanp diya shayad main
jal na sakta to dhuan le jata
itna arzan hai ye bazar-e-wafa
main kahan jins-e-giran le jata
tera kamra hai magar tu hi nahin
tu hi aata ye saman le jata
tu mera dost hai ai kash ki tu
aah de jata fughan le jata
itna pindar to hota mujh mein
tu makin tha main makan le jata
main to us ka hi tha iqbaal 'matin'
us ka ji chahe jahan le jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.