dard-mandon se chaman mat chhiniye
dard-mandoñ se chaman mat chhīniye
yā ilāhī ham-suḳhan mat chhīniye
hai hamāre paas bas dīvāngī
ho sake to ye lagan mat chhīniye
apnī uryānī chhupāne ke liye
dūsroñ kā pairahan mat chhīniye
ruuh jāvedāñ hai lekin ai ḳhudā
itnī jaldī to badan mat chhīniye
ab to sab liilā dikhā dī shyām ne
ab to rādhā se kishan mat chhīniye
dard-mandon se chaman mat chhiniye
ya ilahi ham-suKHan mat chhiniye
hai hamare pas bas diwangi
ho sake to ye lagan mat chhiniye
apni uryani chhupane ke liye
dusron ka pairahan mat chhiniye
ruh jawedan hai lekin ai KHuda
itni jaldi to badan mat chhiniye
ab to sab lila dikha di shyam ne
ab to radha se kishan mat chhiniye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.