dard mein dil ko mubtala kar ke
dard meñ dil ko mubtalā kar ke
chal diye aap kyā se kyā kar ke
us se kuchh is se mashvara kar ke
aa ga.e dil kā faisla kar ke
ishq thā to thā terī chāhat thī
dil ko dekhā hai aa.ina kar ke
vo bhī qaa.em thā zid pe āḳhir tak
mar ga.e ham ḳhudā ḳhudā kar ke
chand kalmāt ho ga.e the atā
bech Daale vahī sunā kar ke
dil ko toḌā bahut salīqe se
gudgudā ke mujhe hañsā kar ke
itifāqan mujhe huā thā ishq
umr guzrī duā davā kar ke
us ne kal ḳhuub saarī bāteñ kī
ek hī baat bas chhupā kar ke
barf par so gayā badan tanhā
zaḳhm taaza kiye havā kar ke
lazzat-e-dard uf sub.hān-allāh
raat kaaTī hai ratjagā kar ke
dard mein dil ko mubtala kar ke
chal diye aap kya se kya kar ke
us se kuchh is se mashwara kar ke
aa gae dil ka faisla kar ke
ishq tha to tha teri chahat thi
dil ko dekha hai aaina kar ke
wo bhi qaem tha zid pe aaKHir tak
mar gae hum KHuda KHuda kar ke
chand kalmat ho gae the ata
bech Dale wahi suna kar ke
dil ko toDa bahut saliqe se
gudguda ke mujhe hansa kar ke
itifaqan mujhe hua tha ishq
umr guzri dua dawa kar ke
us ne kal KHub sari baaten ki
ek hi baat bas chhupa kar ke
barf par so gaya badan tanha
zaKHm taza kiye hawa kar ke
lazzat-e-dard uf subhan-allah
raat kaTi hai ratjaga kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.