dard mein ek zara kami aai
dard meñ ik zarā kamī aa.ī
aap aa.e to zindagī aa.ī
sach batānā parā.e desoñ meñ
kyā mirī yaad bhī kabhī aa.ī
barq jhalkī thī shoḳh āñkhoñ meñ
jism se ruuh tak chalī aa.ī
aaj phir zaḳhm ne dahan khole
aaj phir aañkh meñ namī aa.ī
ham-safar the mire ġhamoñ ke hujūm
saath kuchh duur tak ḳhushī aa.ī
aag ko raushnī samajh baiThā
mujh ko ye soch kar hañsī aa.ī
dil dhaḌakne lagā 'sharāfat' phir
un ke dīdār kī ghaḌī aa.ī
dard mein ek zara kami aai
aap aae to zindagi aai
sach batana parae deson mein
kya meri yaad bhi kabhi aai
barq jhalki thi shoKH aankhon mein
jism se ruh tak chali aai
aaj phir zaKHm ne dahan khole
aaj phir aankh mein nami aai
ham-safar the mere ghamon ke hujum
sath kuchh dur tak KHushi aai
aag ko raushni samajh baiTha
mujh ko ye soch kar hansi aai
dil dhaDakne laga 'sharafat' phir
un ke didar ki ghaDi aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.