dard mīThī zabāñ pe rakh aa.e
tiir ya.anī kamāñ pe rakh aa.e
ek lamhe ne maar lī baazī
lafz us kī zabāñ pe rakh aa.e
raqs karte the chāñd ke paañv
kuchh sitāre vahāñ pe rakh aa.e
ishq aise maqām par laayā
sar ko nok-e-sināñ pe rakh aa.e
dil kī dahlīz par jo raushan thā
vo 'diyā' tum kahāñ pe rakh aa.e
dard miThi zaban pe rakh aae
tir yani kaman pe rakh aae
ek lamhe ne mar li bazi
lafz us ki zaban pe rakh aae
raqs karte the chand ke panw
kuchh sitare wahan pe rakh aae
ishq aise maqam par laya
sar ko nok-e-sinan pe rakh aae
dil ki dahliz par jo raushan tha
wo 'diya' tum kahan pe rakh aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.