dard nisbatan kam hai aaj dil ke chhaalon mein
dard nisbatan kam hai aaj dil ke chhāloñ meñ
phir bhaTak na jā.ūñ maiñ sub.h ke ujāloñ meñ
zindagī kī rāhoñ meñ yuuñ na chhoḌiye tanhā
ham bhī haiñ zamāne se saath chalne vāloñ meñ
mustaqil ḳhamoshī kā kuchh to hal nikal aatā
ham agar na kho jaate vaqt ke savāloñ meñ
aaj un kī zulfoñ kī aur baḌh ga.ī qīmat
raat bhī muqayyad hai uljhe uljhe bāloñ meñ
maut aur mushkil ho zindagī ke māroñ kī
ḳhūn-e-dil milā diije zahr ke piyāloñ meñ
maiñ to kuchh nahīñ kahtā ḳhud mulāhiza kiije
kis kā naam chaltā hai aaj ḳhush-jamāloñ meñ
narm narm lab haiñ yā pankhuḌī kañval kī hai
band hai shafaq un ke phuul jaise gāloñ meñ
vo charāġh kal shab ko bujh gayā sar-e-mahfil
jis ko DhūñDte ho tum aaj ke ujāloñ meñ
laakh mujh ko vo bhūleñ phir bhī hai yaqīñ 'nayyar'
munfarid rahūñgā maiñ yaad karne vāloñ meñ
dard nisbatan kam hai aaj dil ke chhaalon mein
phir bhaTak na jaun main subh ke ujalon mein
zindagi ki rahon mein yun na chhoDiye tanha
hum bhi hain zamane se sath chalne walon mein
mustaqil KHamoshi ka kuchh to hal nikal aata
hum agar na kho jate waqt ke sawalon mein
aaj un ki zulfon ki aur baDh gai qimat
raat bhi muqayyad hai uljhe uljhe baalon mein
maut aur mushkil ho zindagi ke maron ki
KHun-e-dil mila dije zahr ke piyalon mein
main to kuchh nahin kahta KHud mulahiza kije
kis ka nam chalta hai aaj KHush-jamalon mein
narm narm lab hain ya pankhuDi kanwal ki hai
band hai shafaq un ke phul jaise galon mein
wo charagh kal shab ko bujh gaya sar-e-mahfil
jis ko DhunDte ho tum aaj ke ujalon mein
lakh mujh ko wo bhulen phir bhi hai yaqin 'nayyar'
munfarid rahunga main yaad karne walon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.