dard-o-gham ka jahan baqi hai
dard-o-ġham kā jahān baaqī hai
ishq kī dāstān baaqī hai
āhaTeñ sun rahā huuñ yādoñ kī
kuchh na kuchh darmiyān baaqī hai
ham sarāpā yaqīn kab Thahre
dil meñ ab bhī gumān baaqī hai
jā chukā hai makīn duniyā se
ab to ḳhālī makān baaqī hai
jis meñ rahte hoñ sab mohabbat se
ab kahāñ vo jahān baaqī hai
tum nihatthā nahīñ samajhnā mujhe
ab bhī TuuTī kamān baaqī hai
dard-o-gham ka jahan baqi hai
ishq ki dastan baqi hai
aahaTen sun raha hun yaadon ki
kuchh na kuchh darmiyan baqi hai
hum sarapa yaqin kab Thahre
dil mein ab bhi guman baqi hai
ja chuka hai makin duniya se
ab to KHali makan baqi hai
jis mein rahte hon sab mohabbat se
ab kahan wo jahan baqi hai
tum nihattha nahin samajhna mujhe
ab bhi TuTi kaman baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.