dard-o-gham kuchh bayan kiya na gaya
dard-o-ġham kuchh bayāñ kiyā na gayā
chaak siine kā par siyā na gayā
mar gayā dekhte hī maiñ afsos
haif hai jī badan meñ aa na gayā
haath us bevafā-o-bad-ḳhū ke
dekhtī āñkhoñ jī diyā na gayā
āh-o-afsos tere dard meñ dil
mar gayā us sate jiyā na gayā
shauq meñ vasl ke tire har-dam
jām-e-ġham kis sate piyā na gayā
baiTh ai tang-dil 'alī' ko bhī
ek bose se ḳhush kiyā na gayā
dard-o-gham kuchh bayan kiya na gaya
chaak sine ka par siya na gaya
mar gaya dekhte hi main afsos
haif hai ji badan mein aa na gaya
hath us bewafa-o-bad-KHu ke
dekhti aankhon ji diya na gaya
aah-o-afsos tere dard mein dil
mar gaya us sate jiya na gaya
shauq mein wasl ke tere har-dam
jam-e-gham kis sate piya na gaya
baiTh ai tang-dil 'ali' ko bhi
ek bose se KHush kiya na gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.