Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard-o-gham se wo bashar aazad hai

Syed Khadime Rasul Aini

dard-o-gham se wo bashar aazad hai

Syed Khadime Rasul Aini

MORE BYSyed Khadime Rasul Aini

    dard-o-ġham se vo bashar āzād hai

    qalb meñ jis ke ḳhudā yaad hai

    hukmrān-e-vaqt sab ḳhāmosh haiñ

    be-asar mazlūm fariyād hai

    haq-parasto rab nusrat aa.egī

    jabr-e-bātil bhī ik mī.ād hai

    aag nafrat bujhe bhī kis tarah

    talḳhiyoñ ik jahāñ ābād hai

    dil hai chhalnī us sang-e-buġhz se

    jis ke hoñToñ par mubārakbād hai

    dekhiye mojid āñkhoñ se zarā

    ḳhūbsūrat kis qadar ījād hai

    ġhālib aa.e ġham lashkar kis tarah

    dil meñ yād-e-yār jab ābād hai

    'ainī' rakhnā rab pe har dam e'timād

    varna terī zindagī nāshād hai

    dard-o-gham se wo bashar aazad hai

    qalb mein jis ke KHuda ki yaad hai

    hukmran-e-waqt sab KHamosh hain

    be-asar mazlum ki fariyaad hai

    haq-parasto rab ki nusrat aaegi

    jabr-e-baatil ki bhi ek miad hai

    aag nafrat ki bujhe bhi kis tarah

    talKHiyon ka ek jahan aabaad hai

    dil hai chhalni us ka sang-e-bughz se

    jis ke honTon par mubarakbaad hai

    dekhiye mojid ki aankhon se zara

    KHubsurat kis qadar ijad hai

    ghaalib aae gham ka lashkar kis tarah

    dil mein yaad-e-yar jab aabaad hai

    'aini' rakhna rab pe har dam e'timad

    warna teri zindagi nashad hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now