dard-o-gham se wo bashar aazad hai
dard-o-ġham se vo bashar āzād hai
qalb meñ jis ke ḳhudā kī yaad hai
hukmrān-e-vaqt sab ḳhāmosh haiñ
be-asar mazlūm kī fariyād hai
haq-parasto rab kī nusrat aa.egī
jabr-e-bātil kī bhī ik mī.ād hai
aag nafrat kī bujhe bhī kis tarah
talḳhiyoñ kā ik jahāñ ābād hai
dil hai chhalnī us kā sang-e-buġhz se
jis ke hoñToñ par mubārakbād hai
dekhiye mojid kī āñkhoñ se zarā
ḳhūbsūrat kis qadar ījād hai
ġhālib aa.e ġham kā lashkar kis tarah
dil meñ yād-e-yār jab ābād hai
'ainī' rakhnā rab pe har dam e'timād
varna terī zindagī nāshād hai
dard-o-gham se wo bashar aazad hai
qalb mein jis ke KHuda ki yaad hai
hukmran-e-waqt sab KHamosh hain
be-asar mazlum ki fariyaad hai
haq-parasto rab ki nusrat aaegi
jabr-e-baatil ki bhi ek miad hai
aag nafrat ki bujhe bhi kis tarah
talKHiyon ka ek jahan aabaad hai
dil hai chhalni us ka sang-e-bughz se
jis ke honTon par mubarakbaad hai
dekhiye mojid ki aankhon se zara
KHubsurat kis qadar ijad hai
ghaalib aae gham ka lashkar kis tarah
dil mein yaad-e-yar jab aabaad hai
'aini' rakhna rab pe har dam e'timad
warna teri zindagi nashad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.