dard-o-kaif ka sangam der tak nahin rahta
dard-o-kaif kā sañgam der tak nahīñ rahtā
ye surūr kā aalam der tak nahīñ rahtā
fasl-e-gul hai hāsil gar zindagī ke gulshan kī
kyoñ bahār kā mausam der tak nahīñ rahtā
rañg is jahāñ ke sab naqsh-e-āb haiñ goyā
koī rut koī mausam der tak nahīñ rahtā
hai jo shāḳh-e-nāzuk par āñdhiyoñ ke raste meñ
aisā āshiyāñ qaa.em der tak nahīñ rahtā
bebasī meñ Dhal jaa.e jab bhī rañg-e-māyūsī
intizār kā aalam der tak nahīñ rahtā
dard kī kasak dil se muddatoñ nahīñ jaatī
āñsuoñ se dāman nam der tak nahīñ rahtā
dard-o-kaif ka sangam der tak nahin rahta
ye surur ka aalam der tak nahin rahta
fasl-e-gul hai hasil gar zindagi ke gulshan ki
kyon bahaar ka mausam der tak nahin rahta
rang is jahan ke sab naqsh-e-ab hain goya
koi rut koi mausam der tak nahin rahta
hai jo shaKH-e-nazuk par aandhiyon ke raste mein
aisa aashiyan qaem der tak nahin rahta
bebasi mein Dhal jae jab bhi rang-e-mayusi
intizar ka aalam der tak nahin rahta
dard ki kasak dil se muddaton nahin jati
aansuon se daman nam der tak nahin rahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.