dard par pyar aaya choT bhi achchhi lagi
dard par pyar aaya choT bhi achchhi lagi
Nadim Ashrafi Burhanpuri
MORE BYNadim Ashrafi Burhanpuri
dard par pyaar aaya choT bhī achchhī lagī
aaj pahlī baar mujh ko zindagī achchhī lagī
qahqaha kis ne lagāyā mere hāl-e-zār par
kis ko zer-e-dām merī bebasī achchhī lagī
ashk aisā jagmagāyā dīda-e-namnāk meñ
chāñd tāroñ ko bhī jis kī raushnī achchhī lagī
aaj phūloñ kā tabassum dil ko kuchh bhāyā nahīñ
ġhuncha-e-ma.asūm kī lab-bastagī achchhī lagī
merī shorīda-mizājī ko duā.eñ de ga.e
aql vāloñ ko mirī dīvāngī achchhī lagī
dard baḳhshā ġham diyā aañsū ināyat kar diye
mere mohsin ye tirī dariyā-dilī achchhī lagī
ho gayā barbād rusvā-e-zamāna ho gayā
phir bhī 'nādim' ko tirī fitna-girī achchhī lagī
dard par pyar aaya choT bhi achchhi lagi
aaj pahli bar mujh ko zindagi achchhi lagi
qahqaha kis ne lagaya mere haal-e-zar par
kis ko zer-e-dam meri bebasi achchhi lagi
ashk aisa jagmagaya dida-e-namnak mein
chand taron ko bhi jis ki raushni achchhi lagi
aaj phulon ka tabassum dil ko kuchh bhaya nahin
ghuncha-e-masum ki lab-bastagi achchhi lagi
meri shorida-mizaji ko duaen de gae
aql walon ko meri diwangi achchhi lagi
dard baKHsha gham diya aansu inayat kar diye
mere mohsin ye teri dariya-dili achchhi lagi
ho gaya barbaad ruswa-e-zamana ho gaya
phir bhi 'nadim' ko teri fitna-giri achchhi lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.