dard patjhaD ke sare hamare hue
dard patjhaḌ ke saare hamāre hue
sab bahāroñ ke mausam tumhāre hue
hasrat-e-dīd le ke hī jaañ se ga.e
shauq-e-dīdār ke jo the maare hue
raas aa.ī na saudāgarī pyaar kī
ham ko is kaam se bas ḳhasāre hue
aa ga.e phir se vo to zad-e-chashm-e-bad
ghar se nikle nazar jo utāre hue
saath us ke jo niklā sar-e-rāh maiñ
jaane kis kis taraf se ishāre hue
ghar to Duubā thā paanī meñ tuġhyānī se
phir bhī rusvā nadī ke kināre hue
kaise pahchān leñ ham kisī ko yahāñ
log haiñ ruup par ruup dhāre hue
jiit kar ham se 'āriz' bahut ḳhush the vo
kitne masrūr the ham bhī haare hue
dard patjhaD ke sare hamare hue
sab bahaaron ke mausam tumhaare hue
hasrat-e-did le ke hi jaan se gae
shauq-e-didar ke jo the mare hue
ras aai na saudagari pyar ki
hum ko is kaam se bas KHasare hue
aa gae phir se wo to zad-e-chashm-e-bad
ghar se nikle nazar jo utare hue
sath us ke jo nikla sar-e-rah main
jaane kis kis taraf se ishaare hue
ghar to Duba tha pani mein tughyani se
phir bhi ruswa nadi ke kinare hue
kaise pahchan len hum kisi ko yahan
log hain rup par rup dhaare hue
jit kar hum se 'ariz' bahut KHush the wo
kitne masrur the hum bhi haare hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.