dard pursish se siwa hota hai
dard pursish se sivā hotā hai
yahī anjām-e-vafā hotā hai
uTh ke jaayā na karo gulshan se
ham se har phuul ḳhafā hotā hai
un kī yādoñ kī jab aatī hai bahār
zaḳhm-e-dil aur harā hotā hai
aap kahte haiñ hameñ bhuul ga.e
aap ke kahne se kyā hotā hai
dard pursish se siwa hota hai
yahi anjam-e-wafa hota hai
uTh ke jaya na karo gulshan se
hum se har phul KHafa hota hai
un ki yaadon ki jab aati hai bahaar
zaKHm-e-dil aur hara hota hai
aap kahte hain hamein bhul gae
aap ke kahne se kya hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.