dard qaem hai ba-dastur baDi mushkil hai
dard qaa.em hai ba-dastūr baḌī mushkil hai
chārāgar ho ga.e majbūr baḌī mushkil hai
shikva-e-jaur-o-jafā karne chale ho lekin
vo kareñge use manzūr baḌī mushkil hai
un kī yādoñ ko farāmosh karūñ maiñ kaise
dil se hotī hī nahīñ duur baḌī mushkil hai
ye to un kā faqat andāz karīmāna thā
phir se aa jaa.eñ sar-e-tūr baḌī mushkil hai
kaise bach pāoge farmān ġham-e-hijrāñ se
ye mohabbat kā hai dastūr baḌī mushkil hai
dard qaem hai ba-dastur baDi mushkil hai
chaaragar ho gae majbur baDi mushkil hai
shikwa-e-jaur-o-jafa karne chale ho lekin
wo karenge use manzur baDi mushkil hai
un ki yaadon ko faramosh karun main kaise
dil se hoti hi nahin dur baDi mushkil hai
ye to un ka faqat andaz karimana tha
phir se aa jaen sar-e-tur baDi mushkil hai
kaise bach paoge farman gham-e-hijran se
ye mohabbat ka hai dastur baDi mushkil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.