dard rota hai dard de ke mujhe
dard rotā hai dard de ke mujhe
surḳh bhī zard ho gayā hai ab
tum mujhe dard de nahīñ sakte
dard hamdard ho gayā hai ab
ab kisī se nahīñ koī ulfat
dil ye be-dard ho gayā hai ab
garm-joshī nahīñ zabāñ meñ rahī
ḳhuun bhī sard ho gayā hai ab
dard rota hai dard de ke mujhe
surKH bhi zard ho gaya hai ab
tum mujhe dard de nahin sakte
dard hamdard ho gaya hai ab
ab kisi se nahin koi ulfat
dil ye be-dard ho gaya hai ab
garm-joshi nahin zaban mein rahi
KHun bhi sard ho gaya hai ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.