dard sa uTh ke na rah jae kahin dil ke qarib
dard sā uTh ke na rah jaa.e kahīñ dil ke qarīb
merī kashtī na kahīñ ġharq ho sāhil ke qarīb
vajd meñ ruuh hai aur raqs meñ hai pā-e-talab
dekhiye haal mire shauq kā manzil ke qarīb
rah gayā thā jo kabhī pā-e-talab meñ chubh kar
ab vahī ḳhār-e-tamannā hai rag-e-dil ke qarīb
ab vo piirī meñ kahāñ ahd-e-javānī kī umañg
rañg maujoñ kā badal jāatā hai sāhil ke qarīb
jazba-e-shauq bhī kuchh kaam na aayā 'hādī'
nā-tavānī ne biThāyā mujhe manzil ke qarīb
dard sa uTh ke na rah jae kahin dil ke qarib
meri kashti na kahin gharq ho sahil ke qarib
wajd mein ruh hai aur raqs mein hai pa-e-talab
dekhiye haal mere shauq ka manzil ke qarib
rah gaya tha jo kabhi pa-e-talab mein chubh kar
ab wahi KHar-e-tamanna hai rag-e-dil ke qarib
ab wo piri mein kahan ahd-e-jawani ki umang
rang maujon ka badal jaata hai sahil ke qarib
jazba-e-shauq bhi kuchh kaam na aaya 'hadi'
na-tawani ne biThaya mujhe manzil ke qarib
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 523)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.