dard sahne ki baat karta hai
dard sahne kī baat kartā hai
vo mujhe āshnā-e-zāt kartā hai
bosa detā hai mere hāthoñ ko
maut ko yuuñ hayāt kartā hai
sāmne baiTh kar jo boltā hai
sirf apnī hī baat kartā hai
pūchhtī huuñ maiñ apne aap se ye
kaise din ko vo raat kartā hai
us kī muTThī meñ band saañs merī
vus.at-e-kā.enāt kartā hai
kāsa-e-chashm us kā bhartā nahīñ
yuuñ to zikr-e-najāt kartā hai
jab bhī kartā hai ishq kī bāteñ
vāris-e-shash-jihāt kartā hai
aks kar ke mujhe vo shaḳhs 'nasīm'
rāt-din mujh se baat kartā hai
dard sahne ki baat karta hai
wo mujhe aashna-e-zat karta hai
bosa deta hai mere hathon ko
maut ko yun hayat karta hai
samne baiTh kar jo bolta hai
sirf apni hi baat karta hai
puchhti hun main apne aap se ye
kaise din ko wo raat karta hai
us ki muTThi mein band sans meri
wusat-e-kaenat karta hai
kasa-e-chashm us ka bharta nahin
yun to zikr-e-najat karta hai
jab bhi karta hai ishq ki baaten
waris-e-shash-jihat karta hai
aks kar ke mujhe wo shaKHs 'nasim'
raat-din mujh se baat karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.