dard se chur hua jata hai
dard se chuur huā jaatā hai
zaḳhm nāsūr huā jaatā hai
luuT kar chain-o-sukūñ chal denā
un kā dastūr huā jaatā hai
jis tarah thā vo mire dil ke qarīb
utnā hī duur huā jaatā hai
raat gahvāra-e-zulmat thī magar
din bhī be-nūr huā jaatā hai
maiñ to muusā bhī nahīñ lekin vo
jalva-e-tūr huā jaatā hai
ḳhud-numā.ī kī havas meñ insāñ
kitnā majbūr huā jaatā hai
pahle badnām-e-zamāna thā 'majīd'
ab to mash.hūr huā jaatā hai
dard se chur hua jata hai
zaKHm nasur hua jata hai
luT kar chain-o-sukun chal dena
un ka dastur hua jata hai
jis tarah tha wo mere dil ke qarib
utna hi dur hua jata hai
raat gahwara-e-zulmat thi magar
din bhi be-nur hua jata hai
main to musa bhi nahin lekin wo
jalwa-e-tur hua jata hai
KHud-numai ki hawas mein insan
kitna majbur hua jata hai
pahle badnam-e-zamana tha 'majid'
ab to mashhur hua jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.