dard se kis tarah nibah karun
dard se kis tarah nibāh karūñ
kyoñ na ab dil ko vaqf-e-āh karūñ
ai ġhazal tujh ko gungunā.ūñ maiñ
aur ḳhud ko yūñhī tabāh karūñ
kitnī dushvāriyoñ se guzrā huuñ
zabt kab tak maiñ apnī aah karūñ
joḌ ke dil kā silsila dil se
dil meñ un ke maiñ apnī raah karūñ
jab bhī ho un se sāmnā merā
kis liye ro.uuñ kyoñ maiñ aah karūñ
dard se kis tarah nibah karun
kyon na ab dil ko waqf-e-ah karun
ai ghazal tujh ko gungunaun main
aur KHud ko yunhi tabah karun
kitni dushwariyon se guzra hun
zabt kab tak main apni aah karun
joD ke dil ka silsila dil se
dil mein un ke main apni rah karun
jab bhi ho un se samna mera
kis liye roun kyon main aah karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.