dard se kya KHak ghabraunga main
dard se kyā ḳhaak ghabrā.ūñgā maiñ
TuuT kar to aur juḌ jā.ūñgā maiñ
bāñdh de patthar bhī mere paañv meñ
Duub kar varna ubhar ā.ūñgā maiñ
ghar ke sannāTe se dil bechain hai
raat bhar shāyad na jal pā.ūñgā maiñ
mujh ko Thukrātī hai duniyā āj-kal
ek din duniyā ko Thukrā.ūñgā maiñ
dard se kya KHak ghabraunga main
TuT kar to aur juD jaunga main
bandh de patthar bhi mere panw mein
Dub kar warna ubhar aaunga main
ghar ke sannaTe se dil bechain hai
raat bhar shayad na jal paunga main
mujh ko Thukraati hai duniya aaj-kal
ek din duniya ko Thukraunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.