dard sharminda-e-izhaar nahin ho sakta
dard sharminda-e-izhaar nahin ho sakta
Faizan Jaffery Al-Khwarzami
MORE BYFaizan Jaffery Al-Khwarzami
dard sharminda-e-iz.hār nahīñ ho saktā
jaise sahrā kabhī gulzār nahīñ ho saktā
maiñ samajhtā thā jise ghaag anāḌī niklā
har adākār to fankār nahīñ ho saktā
ye mohabbat se bhī aage kī koī shai hogī
ek hī shaḳhs se phir pyaar nahīñ ho saktā
zaḳhm detā hai kuchh aisā jo sadā ristā hai
she'r kab ḳhanjar-o-talvār nahīñ ho saktā
dard sharminda-e-izhaar nahin ho sakta
jaise sahra kabhi gulzar nahin ho sakta
main samajhta tha jise ghag anaDi nikla
har adakar to fankar nahin ho sakta
ye mohabbat se bhi aage ki koi shai hogi
ek hi shaKHs se phir pyar nahin ho sakta
zaKHm deta hai kuchh aisa jo sada rista hai
she'r kab KHanjar-o-talwar nahin ho sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.