dard sine mein le ke chalta hun
dard siine meñ le ke chaltā huuñ
ġham ke saa.e meñ roz paltā huuñ
merī duniyā badal sī jaatī hai
aa.ine se maiñ jab nikaltā huuñ
merī sāñsoñ se uTh rahā hai dhuāñ
bujh rahā huuñ magar maiñ jaltā huuñ
log kahte haiñ gir rahā huuñ magar
sach to ye hai ki maiñ sañbhaltā huuñ
sar uThātī hai zindagī har pal
har ghaḌī sū-e-marg chaltā huuñ
maiñ agar sang huuñ to phir yaaro
koī batlā.e kyoñ pighaltā huuñ
dard sine mein le ke chalta hun
gham ke sae mein roz palta hun
meri duniya badal si jati hai
aaine se main jab nikalta hun
meri sanson se uTh raha hai dhuan
bujh raha hun magar main jalta hun
log kahte hain gir raha hun magar
sach to ye hai ki main sanbhalta hun
sar uThati hai zindagi har pal
har ghaDi su-e-marg chalta hun
main agar sang hun to phir yaro
koi batlae kyon pighalta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.