dard sine mein sula deta hai
dard siine meñ sulā detā hai
harf hoñToñ se haTā detā hai
ḳhud banātā hai mirā manzar-e-shauq
phir tah-e-ḳhāk chhupā detā hai
DhūñDh laatā hai kabhī mujh se mujhe
phir mujhī meñ vo milā detā hai
mere hone kī numā.ish kar ke
apne hone kā pata detā hai
saare aalam meñ añdherā kar ke
dil meñ sham.eñ vo jalā detā hai
ġhaur se dekh zarā shaam ke vaqt
ruḳh se parda vo haTā detā hai
mujh ko kar detā hai mujh se hī judā
phir vo dariyā meñ milā detā hai
kaise har raat kā rone vaalā
mujh ko jiine kī duā detā hai
vo jo chāhe to tire shā.ir kī
hamd mash.hūr banā detā hai
dard sine mein sula deta hai
harf honTon se haTa deta hai
KHud banata hai mera manzar-e-shauq
phir tah-e-KHak chhupa deta hai
DhunDh lata hai kabhi mujh se mujhe
phir mujhi mein wo mila deta hai
mere hone ki numaish kar ke
apne hone ka pata deta hai
sare aalam mein andhera kar ke
dil mein shamen wo jala deta hai
ghaur se dekh zara sham ke waqt
ruKH se parda wo haTa deta hai
mujh ko kar deta hai mujh se hi juda
phir wo dariya mein mila deta hai
kaise har raat ka rone wala
mujh ko jine ki dua deta hai
wo jo chahe to tere shair ki
hamd mashhur bana deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.