dard sine mein uThe bhi to dabae rakhna
dard siine meñ uThe bhī to dabā.e rakhnā
ġham-e-hālāt se har lamha nibhā.e rakhnā
apne ehsās ko āñdhī se bachā.e rakhnā
is añdhere meñ koī sham.a jalā.e rakhnā
jaane kab kaun kahāñ tum se sahārā māñge
dard kī dhuup meñ kuchh phuul khilā.e rakhnā
rah-e-ulfat meñ ġham-e-dil kī shikāyat be-sūd
farz hai chaak garebāñ kā chhupā.e rakhnā
dil meñ ik dard uThā baat laboñ par aa.ī
kitnā mushkil hai koī baat bhulā.e rakhnā
ham guzar jā.eñge uḌte hue lamhoñ kī tarah
raah meñ shauq se kāñToñ ko bichhā.e rakhnā
DhūñD tārīk añdheroñ meñ ujāle 'nāshād'
kab talak dard kī duniyā se banā.e rakhnā
dard sine mein uThe bhi to dabae rakhna
gham-e-haalat se har lamha nibhae rakhna
apne ehsas ko aandhi se bachae rakhna
is andhere mein koi shama jalae rakhna
jaane kab kaun kahan tum se sahaara mange
dard ki dhup mein kuchh phul khilae rakhna
rah-e-ulfat mein gham-e-dil ki shikayat be-sud
farz hai chaak gareban ka chhupae rakhna
dil mein ek dard uTha baat labon par aai
kitna mushkil hai koi baat bhulae rakhna
hum guzar jaenge uDte hue lamhon ki tarah
rah mein shauq se kanTon ko bichhae rakhna
DhunD tarik andheron mein ujale 'nashad'
kab talak dard ki duniya se banae rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.