dard sulgaya gaya aanch baDha li gai hai
dard sulgāyā gayā aañch baḌhā lī ga.ī hai
jaan ThiThure hue rishtoñ kī bachā lī ga.ī hai
ghar kī dahlīz pe lauTā hai pashemāñ koī
dasht sab chhān liye ḳhaak uḌā lī ga.ī hai
ain mumkin thā chhalak jaate hamāre aañsū
sā.at-e-ġham baḌī tarkīb se Taalī ga.ī hai
rāsta kar diyā hamvār kisī kā ham ne
ek dīvār-e-anā thī jo girā lī ga.ī hai
raas aa.ī na kabhī gosha-nashīnī 'nusrat'
bārhā yuuñ mirī tanhā.ī khañgālī ga.ī hai
dard sulgaya gaya aanch baDha li gai hai
jaan ThiThure hue rishton ki bacha li gai hai
ghar ki dahliz pe lauTa hai pasheman koi
dasht sab chhan liye KHak uDa li gai hai
ain mumkin tha chhalak jate hamare aansu
saat-e-gham baDi tarkib se Tali gai hai
rasta kar diya hamwar kisi ka hum ne
ek diwar-e-ana thi jo gira li gai hai
ras aai na kabhi gosha-nashini 'nusrat'
barha yun meri tanhai khangali gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.