dard tera tha tere yar se lag kar roya
dard terā thā tire yaar se lag kar royā
ya.anī bīmār thā bīmār se lag kar royā
saḳht kohrām-zada shaḳhs thā merā hamdard
yuuñ lagā jaise maiñ bāzār se lag kar royā
chaar sū phail gayā zard udāsī kā hisār
koī dar se koī dīvār se lag kar royā
kis ne bhaḌkā.ī mire jism meñ taslīm kī aag
kaun mujh meñ tire inkār se lag kar royā
niiñd bechain thī bīmār kī āñkhoñ ke liye
ḳhvāb kā zaḳhm azādār se lag kar royā
dard tera tha tere yar se lag kar roya
yani bimar tha bimar se lag kar roya
saKHt kohram-zada shaKHs tha mera hamdard
yun laga jaise main bazar se lag kar roya
chaar su phail gaya zard udasi ka hisar
koi dar se koi diwar se lag kar roya
kis ne bhaDkai mere jism mein taslim ki aag
kaun mujh mein tere inkar se lag kar roya
nind bechain thi bimar ki aankhon ke liye
KHwab ka zaKHm azadar se lag kar roya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.